Pandra Sau Saala Jashn-e-Wiladat Lyrics | New Rabi Ul Awal Naat Sharif

Updated On:
Pandra Sau Saala Jashn-e-Wiladat Lyrics | New Rabi Ul Awal Naat Sharif

Lyrics in English

Mere Sarkar aaye!
Mere Dildar aaye!
Nabiyon ke sardar aaye!
Tajdar-e-khatm-e-nabuwwat aaye!


Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Barwin ka din bais-e-rehmat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Ek khuda ka naam zuban par
Aate hi sajda usko kiya hai
Honton pe jari naghma-e-wehdat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Dhoom machi charon taraf
Marhaba! marhaba!
Shadi rachi charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Kaliyan khilin charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Mehki faza charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Bheeni hawa charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Zikr-e-Nabi charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Jashn-e-Nabi charon taraf!
Marhaba! marhaba!


Naat ki mehfil ghar mein sajao
Unki sana ke phool khilao
Zikr-e-Nabi se paogey rehmat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Jashn-e-Wiladat apna aqeeda
Jaisi ho mushkil chhorenge na hum
Sun le zamana meri wasiyyat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Ishq-e-Nabi mein mast hue hain
Jaan bhi denge maal bhi dengey
Ishq hai eimañ ishq zarurat
pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Rahmaton wala, barkaton wala
Dard dilon ke bantne wala!
Aaya Nabi wo qasim-e-nemat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Sajte hain parcham ghar me gali me
Dhoom hai hardam sare jahan mein
Lab pe hain naare dil mein aqeedat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Josh-o-junooñ hai kitna sukuñ hai
Jashn-e-Nabi se ishq-o-fuzuñ hai
Unke maram se milti hai izzat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Sarkar ki aamad! marhaba 
Dildar ki aamad! marhaba 
Aaqa ki aamad! marhaba
Makki ki aamad! marhaba
Madni ki aamad! marhaba
Lajpal ki aamad! marhaba
Sardar ki aamad! marhaba
Manthaar ki aamad! marhaba


Sare jahan mein arb-o-ajam mein
Jashn-e-Nabi ki dhoom machi hai!
Phaili hain khushiyan chamki hai rangat
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Lafzon ke moti ishq ma gajra
Tohfa Ujagar khoob mila hai
Naat-e-Nabi hai unki inayat!
Pandra sau saala jashn-e-wiladat

Aaya Nabi ka jashn-e-wiladat…
Pandra sau saala jashn-e-wiladat


Dhoom machi charon taraf
Marhaba! marhaba!
Shadi rachi charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Kaliyan khilin charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Mehki faza charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Bheeni hawa charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Zikr-e-Nabi charon taraf!
Marhaba! marhaba!
Jashn-e-Nabi charon taraf!
Marhaba! marhaba!


Leave a Comment