Noor Wale Aqa ﷺ Ka Milad Aya Lyrics | Milad Title Kalam 2025 | Hafiz Tahir Qadri

Updated On:
noor-wale-aqa-ka-milad-aya-lyrics-milad-title-kalam-hafiz-tahir-qadri

Noor Wale Aqa ﷺ Ka Milad Aya Lyrics” is the official Milad Kalam 2025, beautifully recited by Hafiz Tahir Qadri and Hafiz Ahsan Qadri with soulful poetry by Allama Nisar Ali Ujagar. Released in Rabi Ul Awal 2025 under TQ Productions, this naat is a heartfelt tribute to Milad un Nabi ﷺ, composed at RWDS Studio with visuals by Ajwaa Production and direction by Syed Bilal Sani. We hope this kalam touches your heart — please like, share & spread it. Thank you! ❤️

Lyrics in English

Mustafa ya Mustafa marhaba salle ala 
Nara-e- ishq o wafa marhaba salle ala 
Ye Sahaba ki nawa marhaba salle ala 
Hai sada-e-Sayyida marhaba salle ala 
Ralliyon mein hai sada marhaba salle ala 
Har taraf shor utha marhaba salle ala 
Wird ye rozana marhaba salle ala 
Sari duniya ne kaha jan o dil tum pe fida 

Chand utar aaya, noor noor chhaya
Noor wale Aaqa ka milad aaya! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Zikr-e-Nabi e paak to din raat karenge
Langar, sabeel, sadqa o khairat karenge
Sooni koi gali na mohalla kahin hoga
Kar ke charaghan noor ki barsat karenge

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Ahlaw wa sahlan marhaba !
Ahlaw wa sahlan marhaba !

Aamad hai kis pagambar-e-Aali maqam ki
Aane lagi sadayein durood o salaam ki
Milad e Mustafa se hai duniya me ronakein
Dhoomein machi hain aamad-e shah-e anaam ki

Jashn-e-Nabi khubkhu aa gaya milad hai
Dhoom machi char su aa gaya milad hai
Noor zamana hua aa gaya milad hai
Main bhi diwana hua aa gaya milad hai
Hathon me jhanda utha aa gaya milad hai
Dil se ye naara laga aa gaya milad hai

Ghar ghar mein saj gaya milad hai
Har zaban pe Mustafa ki naat hai
Sharbat pilayenge, langar khilayenge
Naam-e-Nabi choom kar dil se dil milayenge

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Khush aaj aashiqon ka gharana zarur hai
Chehre pe muskurahaten dil me surur hai
Lagta hai aaj taare zameeñ par itar gaye
Sarkar aaye marhaba har simt noor hai

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Diwano jhoomo jhoomo
Diwano jhoomo jhoomo 
Aaqa aaye jhoomo jhoomo 

Aalam mein koi dekha nahi aap sa haseeñ
Kaise wo dekhta kisi maa ne jana nahi
Khooban-e-jahan sar khamida peshe Mustafa
Lao to koi mere Mohammad sa mehjabeen

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Dekho to aas paas jahan noor noor hai
Tashreef aawari ye saba noor noor hai
Naaton ki goonj salle ala lab pe marhaba
Charon taraf hi sara jahan noor noor hai

Ye Jashn-e-Nabi Ishq-e-Nabi ki daleel hai
Sarkar ki sana to hamari wakeel hai
Jannat mein kaise jayega hargiz na jayega
Un par durood padhne me jo bhi bakheel hai

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Aaqa ki naat sun ke zara tu bhi jhoom le
Padh le durood o ishq jahanon me ghoom le
Tazeem-e-Mustafa ka taqaza hai ummati
Aaqa ka naam aaye to anguthon ko choom le

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Takhleeq-e-kainat ka mabda kahu tujhe
Ae noor wale noor-e-tajalla kahu tujhe
Sher-e-Raza pe khatm Ujagar ne kar diya
Khaliq ma banda khalq ka aaqa kahu tujhe

Gali gali shaher shaher dhoom machi hai
Aamina ke laal ke aane ki khushi hai! 

Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 
Noor wale Aaqa ka milad aaya !! 


Galiyon me hai sada, marhaba salle ala
Har taraf shor utha, marhaba salle ala
Har taraf shor utha, marhaba salle ala
Wird ye rozana, marhaba salle ala
Sari duniya ne kaha, jaan o dil tum pe fida

Credits & Copyrights

RoleName
TitleNoor Wale Aqa ﷺ Ka Milad Aya
ReciterHafiz Tahir Qadri
ReciterHafiz Ahsan Qadri
PoetAllama Nisar Ali Ujagar
AudioRWDS Studio
D.O.PSyed Bilal Sani
Edit & VFXQazi Shaheer Qadri
VideoAjwaa Production
LabelTQ Productions

Written by: Allama Nisar Ali Ujagar

Leave a Comment