Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Kyu na haum ghar ko sajayen barqi kumkumo se
Kyu na hum dhoomein machayein naat ke naghmon se
Aaya hai duniya mein wo jo Nabiyon ka sardar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Apne bachon ki wiladat par manate ho khushi
Jashn-e-Ashab-e-Nabi se bhi nahi dikkat koi
Phir tujhe jashn-e-Mohammad se hi kyu inkar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Hai farishton ka zameeñ par dekhiye mela laga
Arsh par bhi marhaba sad marhaba ki hai sada
Usko rehmat josh par hai jo ki palanhar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Aamina ka laal aya marhaba ya Mustafa
Faiz se dariya bahaya marhaba ya Mustafa
Dojag ko hai jagmagaya marhaba ya Mustafa
Aa gaye khatm-e-risalat marhaba ya Mustafa
Jhoom jhoom kar pukaro marhaba ya Mustafa
Shah-e Aalam aa gaye hain kaanp utha hai butkada
Zalimon ki saltanat mein aa gaya hai zalzala
Han magar unka zamana dekhiye sarshar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Behre tazeem-e-Nabi hai khana-e-kaaba jhuka
Bezubanon ki zuban par hai sana-e-Mustafa
Shadmani ki ghadi hai rehmat-o-anwar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Bebasi aur bekasi ka bhi hua hai khatma
Har taraf haryali aayi khushk dariya bhar gaya
Shadmañ hai sari khalqat aamad-e-sarkar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Waqt-e-tifli se hi karta hu sana-e-Mustafa
Ye meri khushqismati hai ki sharaf mujhko mila
Ab mujhe Shauq-e-Faridi aur kya darkar hai
Jashne-Milad un Nabi to aalami tehwar hai
Aalam-e-Islam ka ye aalami tehwar hai
Jashne-Milad un Nabi hai aamade sarkar hai
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Pandra sau saala hai jashn aa gaya!
Aamina ka laal aya marhaba ya Mustafa
Faiz se dariya bahaya marhaba ya Mustafa
Dojag ko hai jagmagaya marhaba ya Mustafa
Aa gaye khatm-e-risalat marhaba ya Mustafa
Jhoom jhoom kar pukaro marhaba ya Mustafa
Aalam-e-Islam Ka Ye Aalami Tehwar Hai Lyrics | Rabi Ul Awal Naat Sharif
