Aamad aamad hai! aamad aamad hai!
Sarkar-e-do jahan ki aamad aamad hai!
Aa gaya milad ka mausam suhana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Sarkar ki aamad! marhaba
Manthaar ki aamad! marhaba
Sardar ki aamad! marhaba
Mukhtar ki aamad! marhaba
Yaseen ki aamad! marhaba
Aa gaya milad ka mausam suhana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Har taraf hai shadmani
Badh gaya josh-e-imani
Har taraf khushiyon ke nagme
Saj gayi mehfil noorani
Lab par har aashiq ke abto
Yahi tarana hai
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Gunche chatke phool mehke
Shakh-e-gul pe murg chehke
Rota hai shitañ ye keh ke
Aamad-e-Shah-e-Arab hai
Abr-e-rehmat chha gaya
Kabe pe jhanda gad gaya
Bab-e-rehmat aaj waañ hai
Aamad-e-Shah-e-Arab hai
Aane wala hai wo pyara
Dono aalam ka shara
Kaabe ka chamka sitara
Aamad-e-Shah-e-Arab hai
Momino waqt-e-adab hai
Aamad-e-Mehboob-e-Rab hai
Jaan-e-aadab-o-tarab hai
Aamad-e-Shah-e-Arab hai
Rasool ki aamad! marhaba
Mehboob ki aamad! marhaba
Achhe ki aamad! marhaba
Sache ki aamad! marhaba
Ra’oof ki aamad! marhaba
Rahim ki aamad! marhaba
Gayyur ki aamad! marhaba
Us noor ki aamad! marhaba
Aa gaya milad ka mausam suhana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Ghar, muhalle saj rahe hian
Bache naatein padh rahe hain
Phool jawe se nikal kar
Zikr-e-Aaqa kar rahe hain
Har su masti ke aalam mein
Gungunana hai
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Rusul unhi ka to muzda sunane aaye hain
Unhi ke aane khi khushiyan manane aaye hai
Farishte aaj jo dhoomein machane aaye hain
Unhi ke aane ki shadi rachane aaye hain
Ye seedha rasta haq ka batane aaye hain
Ye haq ke badon ko haq se milane aaye hain
Ra’oof aise hain aur ye Raheem hain itne
Ke girte padton ko seene lagane aaye hain
Jo chahenge jise chahenge ye use denge
Kareem hain ye khazane lutane aaye hain
Kareem ki aamad! marhaba
Na’eem ki aamad! marhaba
Aleem ki aamad! marhaba
Hakeem ki aamad! marhaba
Aaqa ki aamad! marhaba
Daata ki aamad! marhaba
Aa gaya milad ka mausam suhana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Noorani sham’ein roshan hain
Roohani mehfil sajti hai
Rozana madani markaz mein
Ilmi majlis sajti hai
Murshidi Attar se hamne ye jana hai
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Sarkar-e-dojahan ki aamad! marhaba
Farag-e-farsh-e-zindagi
Charagh-e-charkh-e-bandagi
Nazar nazar ki roshni
Nafas nafas ki naghmagi
Mera taran-e-shahar
Mera wazifa-e-shabi
Nabi, Nabi, Nabi, Nabi
Nabi, Nabi, Nabi, Nabi
Bahaara aayi daf’atan
Saji zameeñ ki anjuman
Pawan chali sanan sanan
Kali kali chaman chaman
Saba pukarti chali
Sama pukarti chali
Nabi, Nabi, Nabi, Nabi
Nabi, Nabi, Nabi, Nabi
Habeeb ki aamad! marhaba
Tabeeb ki aamad! marhaba
Makki ki aamad! marhaba
Madni ki aamad! marhaba
Arbi ki aamad! marhaba
Farshi ki aamad! marhaba
Maula ki aamad! marhaba
Janañ ki aamad! marhaba
Aa gaya milad ka mausam suhana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Aamad ke naaron ka dekho
Kooch koocha shor hai
Ab duniya se khatam hua
Shaitañ ka zulm-o-jor hai
Faani utho tum bhi kaho
Mehfil ko sajana hai
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Pandra sauwa hame milad manana hai!
Purnoor hai zamana
Subh-e-shab-e-wiladat
Parda utha hai kiska
Subh-e-shab-e-wiladat
Jalwa hai haq ka jalwa
Subh-e-shab-e-wiladat
Saya khuda ka saya
Subh-e-shab-e-wiladat
Fasl-e-bahaar aayi
Shakl-e-nigaar aayi
Gulzar hai zamana
Subh-e-shab-e-wiladat
Phoolon se baag mehke
Shakhon pe murg chehke
Ehd-e-bahaar aaya
Subh-e-shab-e-wiladat
Dil jagmaga rahe hain
Qismat chamak uthi hai
Phaila naha ujala
Subh-e-shab-e-wiladat
Shaukat ka dabdaba hai
Haibat ka zalzala hai
Mushk hai makan-e-Kisra
Subh-e-shab-e-wiladat
Aayi nayi hukumat
Sikka naya chalega
Aalam me rang badla
Subh-e-shab-e-wiladat
Roohul ameeñ ne gaada
Kabe ki chhat pe jhanda
Ta arsh uda pharera
Subh-e-shab-e-wiladat
Padhte hain arsh wale
Sunte hain farsh wale
Suktan-e-nau ka khutba
Subh-e-shab-e-wiladat
Din phir gaye hamare
Sote naseeb jaagey
Khurshid hi wo chamka
Subh-e-shab-e-wiladat
Pyare Rabi Ul Awwal
Teri jhalak se sadqe
Chamka diya naseeba
Subh-e-shab-e-wiladat
Arsh-e-Azeem jhoome
Kaaba zameen choome
Aata hai arsh wala
Subh-e-shab-e-wiladat
Aamad ka shor sun kar
Ghar aaye hain bhikari
Ghere khade hain rasta
Subh-e-shab-e-wiladat
Baanta hai dojahan mein
Tu ne ziya ka baada
Dede Hasan ka hissa
Subh-e-shab-e-wiladat
Marhaba! Marhaba!
Sarkar ki aamad! marhaba
Manthaar ki aamad! marhaba
Sardar ki aamad! marhaba
Salaar ki aamad! marhaba
Mukhtar ki aamad! marhaba
Gamkhwar ki aamad! marhaba
Sheheryaar ki aamad! marhaba
Huzoor ki aamad! marhaba
Purnoor ki aamad! marhaba
Rasool ki aamad! marhaba
Maqbool ki aamad! marhaba
Ache ki aamad! marhaba
Sache ki aamad! marhaba
Pyare ki aamad! marhaba
Basheer ki aamad! marhaba
Nazeer ki aamad! marhaba
Muneer ki aamad! marhaba
Baseer ki aamad! marhaba
Khabeer ki aamad! marhaba
Zaheer ki aamad! marhaba
Ra’oof ki aamad! marhaba
Raheem ki aamad! marhaba
Kareem ki aamad! marhaba
Na’eem ki aamad! marhaba
Aleem ki aamad! marhaba
Haleem ki aamad! marhaba
Hakeem ki aamad! marhaba
Azeem ki aamad! marhaba
Aaqa ki aamad! marhaba
Daata ki aamad! marhaba
Maula ki aamad! marhaba
Janaañ ki aamad! marhaba
Aula ki aamad! marhaba
Aala ki aamad! marhaba
Waala ki aamad! marhaba
Baala ki aamad! marhaba
Afsar ki aamad! marhaba
Rahbar ki aamad! marhaba
Sarwar ki aamad! marhaba
Rehbar ki aamad! marhaba
Munawwar ki aamad! marhaba
Muattar ki aamad! marhaba
Makki ki aamad! marhaba
Madni ki aamad! marhaba
Arbi ki aamad! marhaba
Farshi ki aamad! marhaba
Sultañ ki aamad! marhaba
Zeeshañ ki aamad! marhaba
Daata ki aamad! marhaba
Sayyed ki aamad! marhaba
Jayyed ki aamad! marhaba
Taiyyab ki aamad! marhaba
Tahir ki aamad! marhaba
Hazir ki aamad! marhaba
Nazir ki aamad! marhaba
Nasir ki aamad! marhaba
Zahir ki aamad! marhaba
Batin ki aamad! marhaba
Aaqa-e-Attar ki aamad! marhaba