Gali Gali Saj Gayi Naat Lyrics in English
Gali Gali Saj Gayi Shaher Shaher Saj Gaya
Aye Nabi Pyare Nabi Mera Bhi Ghar Saj Gaya
Marhaba Ya Mustafa..
Marhaba Ya Mustafa..
Mustafa Se Pyar Hai Dil Se Ye iqrar Hai
Har Koi Milad e Nabi Karne Ko Tayyar Hai
Marhaba Ya Mustafa..
Marhaba Ya Mustafa..
Duniya Me Jahan Bhi Rahen Abaad Rahenge
Jo Amina ke Laal Ka Milad Karenge
Jhandey Lagao Khushiyan Manao!
Kar Ke Charaghan Khushiyan Manao
Aashiq Ne Madni Lighton Se Ghar Jagmaga Diya
Ye Jashan Zaruri He Sabhi Ko Bata Diya
Munkir Ye Tera Bughuz Hai Milad e Nabi Se
Jo Sara Saal Jalta Tha Wo Bhi Bujha Diya
Gali Gali Saj Gayi Shaher Shaher Saj Gaya
Aye Nabi Pyare Nabi Mera Bhi Ghar Saj Gaya
Marhaba Ya Mustafa..
Marhaba Ya Mustafa..
Kaabe Ke Badru Duja Tumpe Karoron Durood
Taiba Ke Shamsud Duha Tumpe Karoron Durood
Aur Koi Ghaib Kya Tum Se Nihaan Ho Bhalaa
Jab Na Khudaa Hi Chhupa Tumpe Karoron Durood
Kaam Wo Le Lijiye Tum Ko Jo Raazi Kare..
Theek Ho Naam e Raza Tumpe Karoron Durood
Sarkaar Ke Melad Pe Kyun Aitraaz Hai
Ye Baat Khushi Ki Hai Or Tu Naraz Hai
Lagta Hai Teri Daal Me Kala Zarur Hai
Milad Manane Pe Humein Dil Se Naaz Hai
Duniya Me Jayan Bhi Rahe Abad Rahenge
Jo Amina Ke Lal Ka Milad Karenge
Quraan Ke Bataye Hue Raste Pe Rahenge
Ashaab e Muhammad Ke Tareeke Pe Chalenge
Mumkin Hi Nahi Kam Ho Kabhi Pyar Ke Jazbe
Milad e Nabi Pehle Se Bhi Zyada Karenge
Duniya Me Jayan Bhi Rahe Abad Rahenge
Jo Amina Ke Lal Ka Milad Karenge
Shan e Rasool e Paak Sunaate Hi Rahenge
Lab Pe Durood e Paak Sajaate Hi Rahenge
Jo Maante Nahi Hai Humein Unse Gharaz Kya
Hum Log To Milad Manaate Hi Rahenge
Gali Gali Saj Gayi Shaher Shaher Saj Gaya
Aye Nabi Pyare Nabi Mera Bhi Ghar Saj Gaya
Purnoor Hai Zamana Subh-e Shab e Wiladat
Parda Utha Hai Kiska Subh-e Shab e Wiladat
Aayi Nayi Hukumat Sikka Naya Chalega
Aalam Ne Rang Badla Subh-e Shabe Wiladat
Dil Jagmaga Rahe Hai Qismat Chamak Uthi Hai
Phaila Naya Ujala Subh-e Shab e Wiladat
Ye Bigde Huwe Log Sudhar Kyun Nahi Jate
Usshaaq Samandar Me Utar Kyun Nahi Jaate
Ghustakhon Ki Karte Hain Yahan Jo Bji Himayat
Sarkaar Ke Ghaddaar Hain Ye Mar Kyun Nahi Jate
Duniya Me Jayan Bhi Rahe Abad Rahenge
Jo Amina Ke Lal Ka Milad Karenge
Khud Apne Hi Hathon Se Yun Taqdeer Jagalo
Halaat Sawar Jayenge Jhandon Ko Uthalo
imaan Hai Or Khair Hai Milad Ujagar
Kyun Bethe Ho Sarkaar Ka Milad Manalo
Gali Gali Saj Gayi Shaher Shaher Saj Gaya
Aye Nabi Pyare Nabi Mera Bhi Ghar Saj Gaya
Marhaba Ya Mustafa
Marhaba Ya Mustafa