Lyrics in English
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Andhiyan bhi chali zulm utwan ki
Aaye zalim yahan hukmaran bhi kayi
Zulm jab sar chadha to nakaami hui
Mil gaye desh se desh baala raha
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Fatah-e Hind Qasim ki azmat nishañ
Shah wali aur Ahmad ka hai ye makan
Qasim-e Ilm, Mehmood, Zaamin yahan
Goshe goshe mein unse ujaala hua
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Tipu Sultan, Haider ki lalkaar se
Sarfaroshan-e Ayyubi yalghaar se
Bach gaya mulk Angrez napaak se
Parcham-e adl ka bol baala hua
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Gandhi, Ambedkar ki hai shafqat liye
Ispe Ashfaq, Bismil bhi qurbañ hue
Jab bhi zaalim yahan jaan lewa hue
Apne qanoon se ye niraala hua
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Waqt zalimon tumse kehta hu main
Desh ujdaa hua hai ye kehta hu main
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera
Sare jhandon mein jhanda nirala mera
Ye Tiranga hai ankhon ka taara mera