Lyrics in English
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Lakhon deep bujhe hain tab ye chand sa bankar chamka hai
Duniya bhar ke deshon mein ye desh hamara damka hai
Iska danka harsu goonje aisi azmat paani hai
Humko khabar hai ki is dhun me jaan bhi apni jani hai
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Jo ispe uthey wo har ankh jhukayenge
Taqat wo hamari hai dushman tharrayenge
Qad iska Himala se hum ooncha banayenge
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Zehnoñ ko mohabbat ke beejoñ se sajayenge
Kheton mein sunehri hum faslein lehrayenge
Qad iska Himala se hum ooncha banayenge
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Gholenge fazaon mein ras aise mohabbat ka
Dariya, parvat, jharne sab geet sunayenge
Qad iska Himala se hum ooncha banayenge
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Jab baat kharey ki ho hum log misaali hon
Duniya mein alag sa ik me’yaar banayenge
Har ek zarurat par awaaz hamein dena
Jab dhoop saron par ho baadal ban jayenge
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Qurban, Qurban, Qurban hum tujhe Hindustan
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Ab Laal Qile bas paigham yahi jaaye
Him Jashn-e azadi har saal manayenge
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!
Hindustan tu salamat!
Hindustan tu salamat!
Aafreeñ ho salamat!
Aafreeñ ho salamat!
Sabse juda aur sabse haseeñ hai Hindustan
Desh pe apna tan man dhan sab qurban!